Khat mila hai mujhe Urdu ki kisee mahfil meN
PaRhke ranjoor hoa Tees si uThTheee dil meN
Khat men mauSoof ne likhkha hai mujhe "how are you"
HaiN woh ik ahl-e suKhan unki zubaaN hai Urdu
Aage likhkha hai keh kyooN mujhe peh hai sustee ka "blame"
Aap maSroof haiN aur maiN bhi yahaN 'all the same"
Ap ne ek ghazal "send" jo ki thee parsoN
MaiN ne dou baar "really"woh paRhee thee parsoN
Oos ka har sher mujhe "best" nazar aata hai
"Heart" meN seedha harik sher utar jata hai
Aapke sheroN meN insaan ki "feeling" hai nihaaN
Jo bhi kahte haiN bahut Khoob hai Zawaid miyaN
Waise har she'r ki "reading" se hi aata hai maza
MaiN ne per Matla.o.Maqte ko bahut "like" kiya
"I swear" aapke sheroN ka hai andaz "superb"
"Really" aap ki hai fikr ki perwaaz "superb"
Aapki ghazaloN se milta hai mire "heart" ko chain
"Send again and again and again and again"
Khat ko paRhte hi raha josh ka mere nah hisaab
Main ne bhi likh diya unki hi zubaaN meN yeh jawab
"Thanks" keh aap ne ashAAr mire "like" kiye
Mere "couplets" pazeeraai ke qabil to nah the
"Weldone" aap ne kah kar mire tAAreef jo ki
Is se himmat miree kuch aur baRhee aur baRhee
Miree har fikr thee sada mira har sher sapaT
Aap ne phir bhi kiya "like" unheN "thanks a lot"